aankh jo ishwa-e-pur-kar liye phirti hai

aankh jo ishwa-e-pur-kar liye phirti hai
muzhda-e-tale-e-bedar liye phirti hai

nam se dad bhi milti hai sukhan ko aksar
charkh par shohrat-e-fankar liye phirti hai

khak se phul nikalte hain mahakta hai chaman
kya zamin tabla-e-attar liye phirti hai

koi mahfil bhi nahin jo na ho taid-talab
dar-ba-dar jurat-e-inkar liye phirti hai

ban gai parda-nashin khinch ke palkon ke hisar
hum ko lekin nigah-e-yar liye phirti hai

phenk kar khak mein aqdar ko tahqir ke sath
zindagi dirham-o-dinar liye phirti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close