aankh ki jhil mein kohram se aae hue hain

aankh ki jhil mein kohram se aae hue hain
chand dhalne ko hai aur sham se aae hue hain

chudiyon aur parindon ke nahin hain gahak
hum to maile mein kisi kaam se aae hue hain

teri taswir to kamre mein hai yaadon ka gulab
zard patte to dar-o-baam se aae hue hain

bas ke stand pe thelon ko sajae hue log
khud kisi kucha-e-nilam se aae hue hain

itna kirdar hai nautangi mein apna jaise
dhup mein mom ke andam se aae hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close