aankh ki ye ek hasrat thi ki bas puri hui aansuon mein bhig jaane ki hawas puri hui aa rahi hai jism ki diwar girne ki sada ek ajab khwahish thi jo ab ke baras puri hui is khizan-asar lamhe ki hikayat hai yahi ek gul-e-na-afrida ki hawas puri hui aag ke shoalon se sara shahr raushan ho gaya ho mubarak aarzu-e-khar-o-khas puri hui kaisi dastak thi ki darwaze muqaffal ho gae aur is ke sath rudad-e-qafas puri hui