aankh mein kitne tilismat-e-jahan paoge khun rangin hai to sau rang yahan paoge ho faraghat to zara jhadu khayalon ke shajar shakh-saron pe bahut barg-e-khizan paoge yun sambhaale na phiro dil mein shikasta shishe kirchiyan bikhrin to rag rag mein rawan paoge mauj-e-reg-e-darakhshan ke taaqub mein raho in sarabon hain mein pani ka nishan paoge ye kharaba hi sahi is se na bahar niklo chhod kar dil ko kahin phir na aman paoge rishta-e-tar-e-nazar se hai ujalon ka bharam aankh jhapki to koi aur saman paoge sans uljhi hui aati hai to hai kis ki khata aag andar hai to andar hi dhuan paoge kis qadar shor hai logon se bhari galiyon mein ghaur se dekho bahut khali makan paoge dasht-e-dil hi se koi chashma nikalo 'shahin' khushk-sali mein yahan pani kahan paoge