aankh se aansu tapakta jae hai har musafir sar patakta jae hai nazuki kya kahiye nazuk phul ki bar-e-shabnam se lachakta jae hai zakhm-e-dil hum ne chhupaya to magar phul ki surat mahakta jae hai kah raha hun main to apni dastan kyon tumhaara dil dhadakta jae hai jab bujhana chahta hun gham ki aag aur bhi shoala bhadakta jae hai lab pe naseh ke nasihat hai magar hath mein saghar chhalakta jae hai dida-e-maqtul mein ab kis liye aks qatil ka jhalakta jae hai rah mein pahle bhatakta tha 'aziz' ab sar-e-manzil bhatakta jae hai