aankh se nikla to ek sail-e-rawan ho jaega

aankh se nikla to ek sail-e-rawan ho jaega
warna ehsas-e-mohabbat raegan ho jaega

ye muqayyad rah saka hai kab kisi zindan mein
ishq khushbu hai zamane par ayan ho jaega

jism ki dahliz par dastak si hai mahtab ki
kya badan is raat mera aasman ho jaega

umr ke ek daur mein yaad aaega sahra ka sath
ye safar jo hai haqiqat dastan ho jaega

kaun jita kaun haara hai bulandi kis ke nam
tujh pe zahir ek din nok-e-sinan ho jaega

umr-bhar khud ko jalaya hum ne ye hi soch kar
ek din raushan hamara bhi makan ho jaega

saf kah dega hikayat chehra-e-ayyar ki
aaina kaise kisi ka ham-zaban ho jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close