aankh se tapka jo aansu wo sitara ho gaya mera daman aaj daman-e-surayya ho gaya us ke ji mein kya ye aai ye use kya ho gaya khud chhupa aalam se aur khud aalam-ara ho gaya banda-e-mani kahan surat ka banda ho gaya sochta hun mujh ko kya hona tha main kya ho gaya phir tasawwur ne badha di nala-e-mauzun ki lai phir sawad-e-fikr se ek sher paida ho gaya ab kahan mayusiyon mein jhalkiyan ummid ki wo bhi kya din the ki tera gham gawara ho gaya jaan de di main ne tang aa kar wufur-e-dard se aaj mansha-e-jafa-e-dost pura ho gaya barhaman kahta tha barham shaikh bol utha ahad harf ke ek pher se donon mein jhagda ho gaya wahdat o kasrat ke jalwe khilqat-e-insan mein dekh ek zarra is qadar phaila ki duniya ho gaya barbariyat ki jahan mein garm-bazari hui aadmiyat ki ragon mein khun thanda ho gaya aashiyan banne na paya tha ki bijli gir padi bagh abhi basne na paya tha ki sahra ho gaya aa gaya sailab baalin tak wufur-e-girya se rahm kar ya rab ki pani sar se uncha ho gaya ittifaq-e-waqt tha apna farogh-e-ashiyan jab koi jugnu chamak uttha ujala ho gaya dil khincha jitna qafas mein aashiyane ki taraf dur itna hi qafas se aashiyana ho gaya hum musafir the hamara mustaqar koi na tha raat jab aai jahan aai basera ho gaya ho gae rukhsat 'rais' o 'ali' o 'wasif' 'nisar' rafta rafta aagara 'simab' suna ho gaya