aankhen aansu nahin roti hain jigar rote hain

aankhen aansu nahin roti hain jigar rote hain
tere bimar ke andaz-o-hunar rote hain

shad hona to wo manzil hai jise pane ko
qafile shauq ke dauran-e-safar rote hain

ek to zalim hain ke un ko bhi rulate hain udhar
hashr par ghaur kiye hum bhi idhar rote hain

hum ko chhede na koi zabt ke aalam mein hain hum
warna sailab guzarta hai jidhar rote hain

ek qatra na gira aankh se un ke 'amrit'
wo jo kahte the udhar tum hum idhar rote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close