aankhen khuda ne bakhshi hain rone ke waste do kashtiyan mili hain dubone ke waste uryan chalun main qabr mein sone ke waste kafi hai mujh ko post bichhaune ke waste kushton ke khet mein jo huzur aaj hans pade moti ke dane mil gae bone ke waste nind ud gai hai rang-e-talai ki yaad mein paras ka surma chahiye sone ke waste afsun se samri ko jalate hain wasl mein jadu jaga rahe hain wo tone ke waste tadpa main khak par to kiya charkh ne karam bijli girai mere bichhaune ke waste khwabidgan-e-khak hain giryan mazar par soton ki aankhen khul gain rone ke waste ye ghul ke mar gaya hun ki mera kafan tamam jala bana hai qabr ke kone ke waste jina hai sab ko maut hai taswir ki tarah naqshe jame hue hain na hone ke waste sangin dili se champai rangon ki hai chamak sang-e-mahak zarur hai sone ke waste goya zaban hun dahan-e-rozgar mein kya kya maze mile mujhe khone ke waste naqsh-e-nagin-e-mohr mera naqsh-e-ab hai paida hua hun nam dubone ke waste danton ke ishq mein hai ye ighraq-e-laghari dauda hun motiyon ke pirone ke waste chakki lagi hai bosa-e-husn malih ki zakhmon ke munh khuli hain salone ke waste maila hai farsh par to mah-e-aj mai-kasho lao sharab chandni dhone ke waste shayad karenge chashma-e-khurshid mein wo ghusl shabnam chali hai pani samone ke waste us husn-e-pur-namak mein ajab hai numud-e-khat dekha hujum-e-mor salone ke waste qarun ka bhi khazana luta dijiye 'munir' mumsik ka mal lutiye khone ke waste