aankhen khuli hui hain to manzar bhi aaega kandhon pe tere sar hai to patthar bhi aaega har sham ek masala ghar bhar ke waste bachcha ba-zid hai chand ko chhu kar bhi aaega ek din sununga apni samaat pe aahaten chupke se mere dil mein koi dar bhi aaega tahrir kar raha hai abhi haal-e-tishnagan phir is ke baad wo sar-e-mimbar bhi aaega hathon mein mere parcham-e-aghaz-e-kar-e-khair meri hatheliyon pe mera sar bhi aaega main kab se muntazir hun sar-e-rahguzar-e-shab jaise ki koi nur ka paikar bhi aaega