aankhen raushan lahje ras ke pyale ji ye hain log mohabbat karne wale ji kisi kisi ka husn nashila hota hai kuchh shair bhi hote hain matwale ji lamha lamha jakda jata hun in mein yaaden hain ya hain makdi ke jale ji us ki aankh se aansu ban kar bah nikle mere panw mein padne wale chhaale ji raaton ka ahwal kahan chhup sakta hai sab kah dete hain aankhon ke haale ji main ne hans kar tal diya go logon ne aap ke nam ke patthar khub uchhaale ji gangu teli aas lagae baitha hai jae raja bhoj to raj sambhaale ji aap ne ghola zahar fazaon mein lekin hum ne phul ugae bute pale ji jang ki baaten karne walo yaad rahe bachte hain bas aahen aansu nale ji aag ugalte sanp ka shikwa beja hai main ne to bas apne phul sambhaale ji bap ki aankh se mere aansu tapke the bas us din se honton par hain tale ji