aankhon mein bas gaya koi banhon se dur hai

aankhon mein bas gaya koi banhon se dur hai
chaha hai chand ko yahi apna qusur hai

dozakh mein ji raha hun isi ek aas pe
jannat ko koi rasta jata zarur hai

main ladkhada raha hun sadaqat ki rah pe
is ruh pe abhi bhi badan ka surur hai

ye raushni ke dagh ujale to hain nahin
qasir sa aasman ke sitaron ka nur hai

ab kya bataen tum ko sifat dil ke dagh ki
hum muflison ke pas koi koh-e-nur hai

bhagwan ban gaya hai mera yar aaj kal
rahta hai sath phir bhi lage dur dur hai

kyun ishq ki karah gadagar ki aah ho
kya husn ka ghurur khudai ka nur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close