aankhon mein ek dasht hai kab se ruka hua pahlu mein ek charagh hai aadha jala hua muddat se mere dil mein hai koi basa hua mahram hai meri zat ka garche chhupa hua rakha hua hai chand ki dahliz par qadam rasta hai raushni ka samundar bana hua pahli nazar mein umr ka sauda hua tha tai sach baat hai ki aankh ka wada wafa hua khushbu ka raaz khol raha hai jahan par sheron mein koi shakhs hai shayad chhupa hua dasht-e-fana mein dhund liya apni zat ko mera kahin na hona hi meri baqa hua titli chaman mein aaj bahut chup lagi mujhe jaise kisi gulab pe ho dil ruka hua kahne lagi hun sher main 'nilam' ke sath sath shauq-e-nawa-e-dasht mera ham-nawa hua