aankhon mein jo samae na manzar lapet de ya meri fikr mein koi mahshar lapet de un ki nigah-e-mast ka dil mein surur hai saqi se kah do baada-o-saghar lapet de duniya ko yun khabar to ho aalam-e-zist ki kanton ke sath aaj gul-e-tar lapet de hun mahw-e-khwab un ke tasawwur ki god mein ai waqt apne dard ka bistar lapet de hota guman hai dekh ke be-tabi-e-nazar qatre mein jaise koi samundar lapet de ab hum karenge quwwat-e-bazu se faisla munsif tu apne adl ka daftar lapet de sahra se jab palatne ka imkan hi nahin hangam-e-rozgar mera ghar lapet de aagah rah yun sarw-o-sanobar na ban ke ji aisa na ho ki koi tera sar lapet de bar-e-ilah kar de ata azm-e-haidari ya phir samajh ke harf-e-mukarrar lapet de sayyaad main jo haar gaya hausle ki jang phir khud kahunga tujh se mere par lapet de