aankhon mein rup subh ki pahli kiran sa hai ahwal ji ka zulf-e-shikan-dar-shikan sa hai kuchh yaadgar apni magar chhod kar gain jati ruton ka haal dilon ki lagan sa hai aankhen baras gain to nikhaar aur aa gaya yaadon ka rang bhi to gul-o-yasman sa hai kis mod par hain aaj hum ai rahguzar-e-naz ab dard ka mizaj kisi ham-sukhan sa hai hai ab bhi rang rang-e-tamanna ka pairahan khwabon ke sath ab bhi wahi husn-e-zan sa hai kin manzilon lute hain mohabbat ke qafile insan zamin pe aaj gharib-ul-watan sa hai wo jis ka sath chhod chuka naz-e-agahi ab bhi talash-e-rah mein wahi rahzan sa hai shakhon ka rang-rup khizan le gai magar andaz aaj bhi wahi arbab-e-fan sa hai khushbu ke thamne ko badhae hain hath 'ada' daman-e-arzu bhi saba-pairahan sa hai