aankhon mein zindagi ke tamashe uchhaal kar ai ghurbat-e-nigah na itne sawal kar rahne de aasman ko ek parda-e-khayal lekin zamin ko saya-e-jannat bahaal kar koi talab nahin hai teri bargah se hum be-khayal aae hain itna khayal kar aaram-e-jaan hain hum ko yahi sarsarahaten pachhtane wale hum nahin sanpon ko pal kar aa rakh de hath sina-e-atish-mizaj par kab tak rakhenge teri amanat sambhaal kar wo be-zaban gharib na kha jae koi tir be-chain ho gaya hun kabutar uchhaal kar 'ejaz' ab ke surkh gulabon se kaam le teshe ki aas chhod de patthar ko lal kar