aansu bhi baha kar dekh liye soz-e-gham-e-pinhan kam na hua dil mein teri ulfat ka shoala shoala hi raha shabnam na hua duniya ki bahaaron mein kho kar main apni nazar se chhup jata sad-shukr dil-e-agah mera dil ban gaya jam-e-jam na hua tha dagh-e-tamanna ruh-shikan kuchh himmat-e-gham kaam aa hi gai dil mein to bade tufan uthe aansu na bahe matam na hua hum shukr-e-sitam yun karte hain jaise koi neamat mil jae lekin ye tera andaz-e-nazar nashtar hi raha marham na hua bikhre hue tinke chun chun kar tamir nasheman kar to liya tamir-e-nasheman se lekin ehsas-e-tabahi kam na hua kafi hai 'faridi' ko wo nazar jo marham-e-zakhm-e-hasti hai tu ne jise apna gham bakhsha phir us ko kisi ka gham na hua