aansu ki tarah ponchh ke phenka gaya hun main tara hun aur zamin pe giraya gaya hun main qurban-gah-e-gham pe chadhane ke waste bachpan mein kitne pyar se pala gaya hun main tabish-gureziyon ko majal-e-nazar kahan chashma laga ke dhup ka dekha gaya hun main go ma-wara-e-waqt bhi hai mujh mein ek chiz mizan-e-subh-o-sham mein taula gaya hun main dam le ke laut jaunga o mezban zamin qasid bana ke dur se bheja gaya hun main ai sakinan-e-shahr-e-khamoshan-e-zindagi paigham-e-hashr de ke utara gaya hun main manzil ki qadr hoti hai aawargi ke baad jannat se is liye bhi nikala gaya hun main 'kausar' libas-e-qahr mein utri hain rahmaten thokar laga ke rah pe laya gaya hun main