aansuon mein ajab rawani hai shoala-e-gham bhi pani pani hai un ko mujh se jo bad-gumani hai hadisa koi na-gahani hai mast aankhon ko dekhta hun main samne jam-e-arghawani hai husn aur ishq ka tazad na puchh ek haqiqat hai ek kahani hai ghuncha-e-gul ye kyon fasurda hain kis ki gulshan mein pasbani hai tum bhi samjha ke dekh lo sahib ishq ne kis ki baat mani hai tum na aana fareb mein 'zakir' ek tilism-e-nazar jawani hai