aansuon mein zara si hansi ghol kar zahr us ne diya zindagi ghol kar us ke chehre pe likhna hai koi ghazal raushnai mein kuchh chandni ghol kar ek kar-e-ziyan ke siwa kuchh nahin dekh li shor mein khamushi ghol kar daur-e-hazir ke sachche ghazal-kar hum ek lamhe mein lae sadi ghol kar ek akhbar bhi aaj aisa nahin de khabar subh ki raushni ghol kar dhup ki teziyan kuchh to maddham padin dekhiye mausamon ki nami ghol kar narm lafzon mein ho zikr-e-begangi baat kadwi kaho chashni ghol kar