aao mil kar sochen is ki tadbiren kaise tutengi qadmon ki zanjiren jo qaumen mazi se dars nahin letin khak mein mil jati hain un ki taqdiren waqt ne jaane chehre par kya kya likkha uljhi uljhi bosida si tahriren raat gae jab ghar ko wapas aata hun khamoshi karti milti hai taqriren 'arshad' mera aaj bhi wo sarmaya hain dhundli dhundli ahd-e-kuhan ki taswiren