aap bhi nahin aae nind bhi nahin aai nim-wa darichon se jhankti hai tanhai jag jag uthte hain gan-kali ke mithe sur chhed chhed jati hai gesuon ki purwai yun mere khayalon mein teri yaad raqsan hai jis tarah fazaon mein gunjti hai shahnai gard-e-rah bhi chup hai sang-e-mil bhi khamosh taliban-e-manzil ki kuchh khabar nahin aai ek taraf gham-e-duniya ek taraf teri yaaden aaj kal hayulon se khelte hain saudai jin gulon ne paya ho rang-o-bu bagulon se kaun chhin sakta hai un gulon ki ranai ye tane tane abru ye hara-bhara chehra hum ne qahr si lazzat pyar mein nahin pai ab to saf sunta hun apne dil ki har dhadkan aur kya dikhaegi ye tawil tanhai bazm-e-dost mein 'shahzad' tum bhi kuchh hanso bolo chup rahe se hoti hai dur dur ruswai