aap izzat-maab sach-much ke

aap izzat-maab sach-much ke
log kam hain janab sach-much ke

aap sab ko kharab kahte hain
log kuchh hain kharab sach-much ke

kuchh to parsang yaad aate hain
the katha mein jo bab sach-much ke

apni tabir pa rahe hain jo
main ne dekhe hain khwab sach-much ke

kuchh nazar aa rahe hain mahfil mein
dekh lo mahtab sach-much ke

titliyan phir wahin pe utrengi
khilne dijiye gulab sach-much ke

pas jin ke nahin hai ek misra
wo hain shaer janab sach-much ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close