aap ka koi safar be-samt be-manzil na ho zindagi aisi na jina jis ka mustaqbil na ho aaj ke shahzade sab kuchh chahte hain is tarah sakhti-e-mausam bhi kam ho rah bhi mushkil na ho tera sarmaya teri daulat yahi ek chiz hai ek pal kirdar ki tamir se ghafil na ho us ne khushiyon ke khazane wa kiye mujh par magar be-tahasha raushni ki tirgi hasil na ho apni qurbat ke kuchh aise naqsh dil par chhod de wo bhi chahe to mohabbat ka asar zail na ho ye samajh lo be-hisi us ka muqaddar ban chuki ai 'anis' apni ghalat-kari pe jo qael na ho