aap ke dil ko mere dil se kahin pyar na ho zindagi meri tarah aap ki dushwar na ho manne se meri dar hai unhen inkar na ho ye meri arz-e-tamanna kahin be-kar na ho shauq se rabt-e-mohabbat ko badhaen lekin had se badh kar ye mohabbat kahin aazar na ho zindagi rashk ke qabil ho mohabbat mein agar dil ki har baat pe iqrar ho inkar na ho mere armanon ki duniya ka khuda-hafiz ho aap ke dil mein agar jazba-e-isar na ho aish chumega qadam ranj ke din talne de mere dil un ki mohabbat se tu bezar na ho zindagi yun hi bhatakti rahe manzil ke liye ek se ek ko duniya mein agar pyar na ho hijr ke ab to tasawwur se hi dam ghutta hai mein to mar jaun jo pahlu mein mere yar na ho main samajhta hun wafadar-e-mohabbat us ko jo mohabbat mein wafaon ka talabgar na ho rabt ki chashni ka kirkira ho jae maza lutf-amez mohabbat mein jo takrar na ho us pe hote hain zamane ke karam ai 'afzal' ek zara se jo karam ka bhi rawadar na ho