aap ke ruKHsar angare nazar aane lage

aap ke rukhsar angare nazar aane lage
ashk bhi tute hue tare nazar aane lage

lala-o-gul hain yaqinan khun-e-nahaq ki dalil
jis taraf dekho jigar-pare nazar aane lage

kal mujhe kanton se nafrat gul se ulfat thi magar
aaj kante bhi mujhe pyare nazar aane lage

un ke raushan dil se mera dil munawwar ho gaya
is liye aib-o-hunar sare nazar aane lage

aa raha hai is taraf shayad koi simin badan
kyon ki ab pur-kaif nazzare nazar aane lage

wo bhi hairan ho gae ashk-e-musalsal se mere
khun ke jab un ko fawware nazar aane lage

bahr-e-zulmat par ziya hone ko hai 'khaki' tabhi
tirgi main nur ke dhaare nazar aane lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close