aap ki bas ye nishani rah gai uljhanon mein zindagani rah gai jhut aaya samne sach ki tarah dur roti haq-bayani rah gai jis ke do kirdar the tum aur main yaad mujh ko wo kahani rah gai jis ka kah dena zaruri tha bahut baat wo tum ko batani rah gai khak mein lipta hua bachpan gaya karb mein lipti jawani rah gai umr guzri hai ghulamon ki tarah nam ki wo sirf rani rah gai