aap kya hain aap ko jaana to andaza hua dil hua kaba se but-khana to andaza hua kitna mushkil kaam hai tauba ka rakhna barqarar samne aaya jo paimana to andaza hua sham'-e-mahfil ko na andaza tha apni aag ka ho gaya jab khak parwana to andaza hua un ki aankhon mein bhi masti hai sharab-e-nab si gir gaya hathon se paimana to andaza hua koi tabdili hui hai meri haalat mein zarur mujh ko apnon ne na pahchana to andaza hua meri be-payan mohabbat hai fareb-e-husn-o-ishq kah gae wo hans ke diwana to andaza hua main shahanshah-e-dayar-e-ishq hun hairat nahin ho gaya jab un se yarana to andaza hua