aaqibat na-shanas hun aur hun

aaqibat na-shanas hun aur hun
gham ye hai be-libas hun aur hun

tu zamana-shanas tha aur tha
main mohabbat-shanas hun aur hun

tu bahut dur tha aur aaj nahin
main tere aas-pas hun aur hun

log mayus ho ke ja bhi chuke
aur main kab se udas hun aur hun

lahar hota to ban ke mit jata
main kinare ki ghas hun aur hun

sara mazmun kaun padhta hai
main to bas iqtibas hun aur hun

mere hone ki suraten kya hain
main faqat apna mas hun aur hun

bandagi mujh ko ras ho ki na ho
main khudai ko ras hun aur hun

mujh pe ek bojha hai doi meri
apne hone ki pyas hun aur hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close