aarti hum kya utaren husn-e-mala-mal ki bujh gai har jot puja ke sunahre thaal ki tum to kya dastak nahin detin hawaen tak yahan dil hai ya sunsan kutiya hai kisi kangal ki dekh ai gul-pairahan tere liye pardes se kaun laya hai hawaon ki moattar palki phir ugane do yahan hum ko lahu ke kuchh gulab aap ne to shahrah-e-dil bahut pamal ki tu muqaddas aankh hai yani hasin suraj ki aankh aur main gahri gupha wo bhi kisi patal ki tum pilao apne honton se agar aab-e-hayat phenk denge hum surahi aatishin sayyal ki gunguna kar tairta hai jis mein khushbu ka badan 'prem' teri shairi wo jhil hai sur-tal ki