aarzi aasaishon ki chah karna chhoD de

aarzi aasaishon ki chah karna chhod de
fikr-e-uqba zehn mein rakh fikr-e-duniya chhod de

kuchh amal ka zikr kar kuchh baat kar kirdar ki
qaisar-o-kisra ka ab to khwab bunna chhod de

kashtiyan bhi baadbanon ki nahin muhtaj ab
aarzi ho jo sahaara wo sahaara chhod de

zindagi andoh-e-gham mein ghut ke rah jae agar
jazba-e-gham aansuon ki shakl bahna chhod de

wasl ka wada kiya hai to ise pura bhi kar
ye naya har roz ka hila bahana chhod de

ek din to dil ko bhi tarjih de kar dekh lun
aql se kah do ki mujh ko aaj tanha chhod de

kash aa jae palat kar wo sunahra daur phir
bhai bhai ke liye munh ka niwala chhod de

apne hathon se kamane ki lagan dil mein nahin
chahta hai aaj beta bap wirsa chhod de

dekh kha jaen na aahen be-kas-o-mazlum ki
ai amir-e-shahr ab bhi zulm dhana chhod de

mulk ki galiyan lahu pine ki aadi ho na jaen
ye tassub zahr ka zehnon mein bharna chhod de

mazhabi jazbaat ke sare pitare band kar
ai siyasat ke madari ye tamasha chhod de

chand ko chhune ki koshish ahmaqana feal hai
jo na hasil ho sake us ki tamanna chhod de

ta-qayamat yaad rakkhe tujh ko ye duniya 'salim'
apne kirdar-o-amal ka naqsh aisa chhod de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close