aarzu kaamran nahin lagti zindagi shadman nahin lagti hai halawat nahin bayan mein jab dil-nashin dastan nahin lagti main saja kar ise bahut khush hun phir bhi mahfil jawan nahin lagti ishq ke bol yun to dilkash hain mo'atabar si zaban nahin lagti guftugu kar ke aaj jugnu se raat kuchh raegan nahin lagti rang khushbu saba nahin mujh mein soch jannat-nishan nahin lagti pyar ki wo hasin si aahat jo wahan thi yahan nahin lagti phul shabnam ka aks lagti thi wo hawa ab rawan nahin lagti 'sahni'-ji hazar koshish se ye zamin aasman nahin lagti