aarzu kab koi mohtaj-e-bayan hoti hai

aarzu kab koi mohtaj-e-bayan hoti hai
khamushi khud hi mohabbat ki zaban hoti hai

rahat-o-aish mein ye baat kahan hoti hai
zindagi dard mein dube to jawan hoti hai

talib-e-ishq-o-mohabbat hain na puchho hum se
shab kahan subh kahan sham kahan hoti hai

jis nasheman ki ho tamir mein khun-e-mazlum
us ki nigaran nazar-e-barq-e-tapan hoti hai

tu ne dekhi ho to kuchh tujh se kahun ai naseh
kaif-za kya nigah-e-pir-e-mughan hoti hai

be-sabab tu na samajh naseh-e-nadan is ko
tis si ek jo qarib-e-rag-e-jaan hoti hai

ahl-e-dil ahl-e-nazar se koi puchhe 'zamzam'
is mohabbat ko jo sine mein nihan hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close