aarzu wasl ki rakhti hai pareshan kya kya kya bataun ki mere dil mein hain arman kya kya gham azizon ka hasinon ki judai dekhi dekhen dikhlae abhi gardish-e-dauran kya kya un ki khushbu hai fazaon mein pareshan har su naz karti hai hawa-e-chamanistan kya kya dasht-e-ghurbat mein rulate hain hamein yaad aa kar ai watan tere gul o sumbul o raihan kya kya ab wo baaten na wo raaten na mulaqaten hain mahfilen khwab ki surat huin viran kya kya hai bahaar-e-gul-o-lala mere ashkon ki numud meri aankhon ne khilae hain gulistan kya kya hai karam un ke sitam ka ki karam bhi hai sitam shikwe sun sun ke wo hote hain pasheman kya kya gesu bikhre hain mere dosh pe kaise kaise meri aankhon mein hain aabaad shabistan kya kya waqt-e-imdad hai ai himmat-e-gustakhi-e-shauq shauq-angez hain un ke lab-e-khandan kya kya sair-e-gul bhi hai hamein bais-e-wahshat 'akhtar' un ki ulfat mein hue chaak gareban kya kya