aas dil mein tere aane ki lagae rakhun ek diya roz sar-e-sham jalae rakhun chhuta jae hai mere hath se ab daman-e-zabt kab tak ashkon ko tabassum mein chhupae rakhun bas isi tarah meri umr basar ho jae main tujhe yaad rakhun khud ko bhulae rakhun ek na ek din to ye sar tan se juda hona hai kyon na phir sar ko hatheli pe uthae rakhun mujh ko dar hai ki na lag jae tujhe meri nazar apni aankhen tere chehre se hatae rakhun mujh ko malum hai anjam dua ka lekin izn-e-rahmat hai ki main hath uthae rakhun ai 'aziz' aane lage chaaron taraf se patthar shisha-e-dil ko kahan tak main bachae rakhun