aasan-e-haqiqi hai na kuchh sahal-e-majazi malum hui rah-e-mohabbat ki daraazi kuchh lutf o nazar lazim o malzum nahin hain ek ye bhi tamanna ki na ho shobada bazi dil khub samajhta hai tere harf-e-karam ko har-chand wo urdu hai na turki hai na tazi qaim hai na wo husn-e-rukh-e-yar ka aalam baqi hai na wo shauq ki hangama-nawazi ai ishq teri fath bahar-haal hai sabit mar kar bhi shahidan-e-mohabbat hue ghazi kar jald hamein khatm kahin ai gham-e-jaanan kaam aaegi kis roz teri sina-gudazi malum hai duniya ko ye 'hasrat' ki haqiqat khalwat mein wo mai-khwar hai jalwat mein namazi