aashiq hue to ishq mein hoshyar kyun na the hum in ke madah-khwan sar-e-bazar kyun na the han jab sitam ko ain karam kah rahe the log hum bhi sharik-e-garmi-e-guftar kyun na the jab chal raha tha waqt pe jadu nigah ka ek hum asir-e-chashm-e-fusun-kar kyun na the ab kya shahid-e-naz bane phir rahe hain log marne ka shauq tha to sardar kyun na the 'waris' ye shairi sam-e-qatil se kam nahin aap is bala-e-jaan se khabar-dar kyun na the