aashiq ka jahan mein ghar na dekha aisa koi dar-ba-dar na dekha jaisa ki ude hai tair-e-dil aisa koi tez-par na dekha khuban-e-jahan hon jis se taskhir aisa koi hum hunar na dekha tute dil ko bana dikhawe aisa koi kari-gar na dekha us tegh-e-nigah se ho muqabil aisa koi be-jigar na dekha jari hain hamesha chashma-e-chashm aisa koi abr-e-tar na dekha jo aab hai aabru mein 'hatim' aisa koi hum guhar na dekha