aashiq na agar wafa karega phir aur kaho to kya karega mat todiyo dil sanam kisi ka allah tera bhala karega hai aalam-e-khwab haal-e-duniya dekhega jo chashm wa karega jita na bachega koi zalim aisi hi jo tu ada karega kal ke to kai pade hain zakhmi kya jaaniye aaj kya karega aa jaega samne tu jis ke dil kya hai ki ji fida karega kya jaaniye kya karega tufan gar ashk yunhi baha karega 'bedar' ye bait-e-dard ro ro furqat mein teri padha karega apni aankhon mein tujh ko dekhun aisa bhi kabhu khuda karega