aashiqi ke aashkare ho chuke husn-e-yakta ke pukare ho chuke uth gaya parda jo fi-mabain tha mann-o-tu ke the ishaare ho chuke hai bahaar-e-gulshan-e-duniya do roz bulbul-o-gul ke nazare ho chuke chal diye uth kar jahan chahe wahan ek rangi ke sahaare ho chuke yas se kah denge waqt-e-qatl hum hum to ai pyare tumhaare ho chuke wasil-e-dariya jo qatra ho gaya ghairiyat ke the pukare ho chuke gulshan-e-hasti mein dekhi thi bahaar auj par jo the sitare ho chuke warta-e-dariya ka gham jata raha ghota khate the kinare ho chuke nek-o-bad se tum ko 'markaz' kya gharaz dur dushman the tumhaare ho chuke