aasman hai samundar pe chhaya hua is liye rang pani ka nila hua waqt naddi ki manind bahta hua ek lamha magar kyun hai thahra hua tha koi to jo dahliz par dhar gaya raat jalti hui din dahakta hua gum-shuda shahr mein dhundhta hun kise ek ek shakl ko yaad karta hua dhup-jangal mein phir kho gaya hai koi chand taron ko aawaz deta hua dhup aur lu bhari thin fazaen magar us ki yaadon ka mausam tha bhiga hua surat-e-haal ambar ajab chiz hai us ne dariya kaha main kinara hua