aasman tujhse kinara kahin karna hai mujhe

aasman tujh se kinara kahin karna hai mujhe
thak gaya udte hue aaj utarna hai mujhe

apne zakhmon ki hawa di hai kisi sahil ko
apne ashkon se samundar koi bharna hai mujhe

chand ki naw hui raat ke sailab mein gharq
phir se suraj ki kiran ban ke ubharna hai mujhe

yaad aata hai bikhar jaana meri hasti ka
aur us zulf ka kahna ki sanwarna hai mujhe

ab ye lagta hai ki main khud mein simat aaya hun
aa ke chhu le ki phir ek bar bikharna hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close