aastin mein sanp ek palta raha hum ye samjhe hadsa talta raha aap to ek baat kah kar chal diye raat-bhar bistar mera jalta raha ek gham se kitne gham paida hue dil hamara phulta-phalta raha zindagi ki aas bhi kya aas hai mauj-e-dariya par diya jalta raha ek nazar tinka bani kuchh is tarah der tak aankhen koi malta raha ye nishan kaise hain 'baqi' dekhna kaun dil ki rakh par chalta raha