aasudgan-e-hijr se milne ki chah mein koi faqir baitha hai sahra ki rah mein phir yun hua ki shauq se kholi na main ne aankh ek khwab aa gaya tha meri khwab-gah mein is bar kitni der yahan hun khabar nahin aa to gaya hun phir se teri bargah mein phir kar-e-zindagi ne mujhe chhodna nahin kuchh din yahin guzar lun apni panah mein yaron ne aa ke jaan bachai meri ki main khud se ulajh pada tha yunhi khwah-makhwah main