aasudgi ka daur hai faqa-kashi bhi hai

aasudgi ka daur hai faqa-kashi bhi hai
sab kuchh hai apne pas magar kuchh kami bhi hai

barham hue kabhi to kabhi muskura diye
bas mein tumhaare maut bhi hai zindagi bhi hai

tufan-e-gham mein tum ne gale se laga liya
han mujh ko aisi pursish-e-gham ki khushi bhi hai

ruk-ruk ke meri samt badhati hai har qadam
shayad ki zindagi mujhe pahchanti bhi hai

is daur-e-be-hayai mein kuchh bolta nahin
us shakhs mein janab sharafat abhi bhi hai

milta hai aisa waqt bhi 'manzar' nasib se
main hun shab-e-visal hai ek ajnabi bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close