aate hi tu ne ghar ke phir jaane ki sunai rah jaun sun na kyunkar ye to buri sunai majnun o kohkan ke sunte the yar qisse jab tak kahani hum ne apni na thi sunai shikwa kiya jo hum ne gali ka aaj us se shikwe ke sath us ne ek aur bhi sunai kuchh kah raha hai naseh kya jaane kya kahega deta nahin mujhe to ai be-khudi sunai kahne na pae us se sari haqiqat ek din aadhi kabhi sunai aadhi kabhi sunai surat dikhae apni dekhen wo kis tarah se aawaz bhi na hum ko jis ne kabhi sunai qimat mein jins-e-dil ki manga jo 'zauq' bosa kya kya na us ne hum ko khoti-khari sunai