aate rahte hain falak se bhi ishaare kuchh na kuchh

aate rahte hain falak se bhi ishaare kuchh na kuchh
baat kar lete hain hum se chand tare kuchh na kuchh

ek kafir ki masihai ke dast-e-faiz se
mil rahe hain zakhm ke donon kinare kuchh na kuchh

rang har dimak-zada taswir mein bharte rahe
ek tasalli ke liye hijran ke mare kuchh na kuchh

ek purana khat kai phulon ki sukhi pattiyan
is bayaz-e-zindagi mein hain sahaare kuchh na kuchh

hai wahi qamat wahi manus se naqsh-o-nigar
aisa lagta hai kabhi wo the hamare kuchh na kuchh

waqt ke be-rahm sannaton mein bahti zindagi
hai sada ki muntazir koi pukare kuchh na kuchh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close