aati hai bar bar yahi baat dhyan mein jaane wo kis ke sath mein hoga jahan mein tum jis ada se hath jhatak kar hue juda kangan tumhaara aaj bhi bajta hai kan mein jaise sadaen de ke uthati ho wo mujhe aawaz teri ab bhi hai mere makan mein pankhe se latka hun kabhi patri pai hun pada aata hai roz-o-shab mere kya kya dhiyan mein sahra-naward hum bhi the kis darja hijr mein hain baad-e-wasl-e-yar bhi ab tak thakan mein har imtihan se qabl ye jazba bana raha awwal to hum hi aaenge is imtihan mein karna muaf khami zaban-o-bayan ki shair hun pahla urdu ka main khandan mein