aatish-e-zakhm se jab sina pighalta tha mera munh se aawaz nahin khun nikalta tha mera surkh angare dahakte the meri aankhon mein teri tauhin pe jab rang badalta tha mera itni manus thi ehsas ki lau dhup ke sath jism suraj ke utar jaane se jalta tha mera kam na thi maut ki raftar se raftar-e-safar sans ruk jate the jab qafila chalta tha mera ghair aabaad masafat mein ghanimat thi zamin karwan gard ki khurak pe palta tha mera daudte daudte maidan mein pyason ke liye panw ke talwon se ehsas nikalta tha mera habs andar ki nikalti to hawa ruk jati sans mushkil se ye mahaul nigalta tha mera wahshati rahguzar tai na hui mujh se 'ali' jism to jism hai saya bhi dahalta tha mera