aawara-e-ghurbat hun thikana nahin milta nawak hun mujhe koi nishana nahin milta jin logon mein rahta hun main un mein se nahin hun hun kaun mujhe apna zamana nahin milta diwar to is daur mein milti hai ba-har-gam lekin tah-e-diwar khazana nahin milta muddat se hai ashkon ka talatum pas-e-mizhgan rone ke liye koi bahana nahin milta muddat se tamanna hai ki ye bojh utaren muddat se koi dost purana nahin milta hai rakhsh subuk-sair bahut umr-e-rawan ka gir jae koi shai to uthana nahin milta